Please search

Insaan ko kis soil se paida kiya?


ولقد خلقناالانسان من سلٰلۃمن طین : سورہ
المومنون پارہ نمبر: ١۸ سورہ نمبر :۲٣ آیت نمبر :١١ TARJUMA :aur humne insaan ko paida kiya sulalah aur mitti se PROF Surah al muminoon Parah Number : 18 Surah Number : 23 Ayat Number : 11 Iss ayat se saaf zahir ho rha h ki Allah paak ne insaan ko mitti se paida kiya h jb ki Allah paak ne shyaateen aur jinn ko aag se aur ferishto (angel) ko nooor (roshni) paida kiya jb Allah paak ne insaan ki paidaish K baare mai ferishto se kaha واذ قال ربک للملائکۃ انی جاعل فی الارض خلیفۃ قالوا اتجعل فہھامن یفسد فیھا ویسفک الدماء ونسبح بحمدک ونقدس لک قال انی اعلم ما لا تعلمون: الآیۃ دلیل پارہ نمبر :١ سورہ نمبر:۲ آیت نمبر :٣۰ TARJUMA:jb Tumhare reb ne kaha farishto se ki mai zameen mai jinn ka khalifa bnane wala hun to ferishto ne kaha ki kiya to bnaayega zameen mai ek aise khalife ko jo fasaad kre aur khooon ko bahaye Allah paak ne kaha ki beshek mai jo jaanta hun wo tum nhi jaaante Allah paak ne phir ferishto ko hukm diya ki wo zameen se tmaam qism ki mitti lekr aayen saare ferishto ne Allah paak ki baat ko maana aur mitti lekr aaye phir Allah paak ne ferishto ko hukm diya ki tum jo 7 qism ki mitti le kr aaye Ho uss ko milaao(mix)kro to mitti ko mix kiya aur wo saath qism ki mitti ka ziker Quran paak mai h Number 1: turaab (تراب ) Number 2:teeen(طین) Number 3:hmaa(حماء) Number 4:masnoon(مسنون) Number 5:teen-e-lazib(طین لسان) Number 6:selsaal(صلصال) Number 7:fekhkhar(فخّار) Inn Saat 7 qism ki mitti se Allah paak ne insaan ko paida Kiya aur iss ke baare mai Allah paak ne fermaya h 1 :TURAAB (Sookhi mitti) Turaab iss ki daleel(prof) اناخلقک من تراب: الآیۃ پارہ نمبر :١٥ سورہ نمبر سورہ کہف آیت نمبر : ٣٧ TARJUMA :humne tumko sookhi mitti se paida kiya Parah Number :15 Surah Number : Surah kahef Ayat number :37 2:teeen (bhigi mitti) Iss ki daleel (prof) انی خالق بشر من طین :الآیۃ پارہ نمبر: ۲٣ سورہ نمبر: سورہ صٰ آیت نمبر:١٧ TARJUMA:allah paak kahta h ki beshek mai ne insaan ko (طین)mitti se paida kiya PROF: Parah number :23 Surah Number : ‎surah suaad ‎ayat Number :17 3 hmaa(khushbudaar mitti) Iski daleel prof ولقد خلقنا الانسان من صلصال من حماء مسنون الآیۃ دلیل پارہ نمبر:١٤ سورہ نمبر: سورہ الحجر آیت نمبر :۲۸ TARJUMA :aur humne insaan ko bajti huee mitti se bnaaya jo ki boo daar gaara theee PROF: Parah number :14 Surah number : Surah alhijr Ayat Number :28 4 masnoon(badboodaar mitti) se Iss ki daleel (prof) انی خالق بشرا من صلصال من حماء مسنون الآیہ دلیل پارہ نمبر :١٤ سورہ نمبر : سورہ الحجر آیت نمبر :۲٦ TARJUMA :Allah paak ne fermaya beshek mai ne insaan ko bajti huee aur khushboodar aur badboo wali mitti se paida kiya h PROF : Parah Number: 14 Surah number : Surah al hijr Ayat Number :26 Masnoon :aisi mitti ko kehte hain jiss mai paani ke ther jaane ki wejah se mitti ke ander jo badboo paida Ho jaati h arbi zubaan mai uss ko masnoon kaha jaata h 5 teenun lazib (chipakti mitti) se Iss ki daleel (prof) انا خلقناھم من طین لازب الآیۃ دلیل پارہ نمبر :۲٣ سورہ نمبر : سورہ الصٰفٰت آیت نمبر : ١١ TARJUMA:hum ne insaan ko chipakti mitti se paida kiya PROF: Parah Number :23 Surah Number : Surah assaafaat Ayat Number :11 Aur teenun lazib lesdaar chipakti huee mitti ko kerte hai yani jiss mai reta shamil na ho 6 selsal (khankhnati mitti) se Iss ki daleel (prof) خلق الانسان من صلصال کالفخار الآیۃ دلیل پارہ نمبر : ۲٧ سورہ نمبر سورہ رحمٰن آیت نمبر :١٤ TARJUMA: insaan ko khenkhnati mitti se paida kiya PROF: Parah Number :27 Surah Number : Surah ar rheman Ayat Number :14 7 fakhkhar (pakki mitti) se iss ki daleel (prof) خلق الانسان من صلصال کالفّخار الآیۃ دلیل پارہ نمبر ۲٧ سورہ نمبر سورہ الرحمان آیت نمبر١٤ TARJUMA: insaan ko khankhnati aur pukhta mitti se paida kiya PROF: Parah number 27 Surah Number Surah ar Rehman Ayat Number 14 Inn saare dlaael yani prof se saaf maaloom hota h ki insaan ko saat mitti mila kr paida kiya h aur ferishto ne inn saat mitti ko ikhata kiya phir inn ko Allah paak ne milaane (mix) kerne ka hukm (order) diya jb Inn saat mitti ko mix kr diya gaya to Allah ne insaan ke dhanche ko teyyar kiya.


EmoticonEmoticon